**Pal-Chhin**
by Aman Chauhan on Saturday, September 3, 2011 at 5:51am
"Maine hr pal ko agle pal mein badalte dekha hai,
Muskurate chehro ko gamm mein dhhalte dekha hai
Hum muskura rahe the sb kuch apna samjhkr,
Un apno ko pal mein paraya hote dekha hai..
Is palchhin chala aur agle palchhin thma
Maine hr pal ko agle pal mein, badalte dekha hai,
Ashk palkon pe the ya sapne ashk bn chhalak gye
Jahan faeil rahi thi duniya sari, wahan khud mein hi hum simat gye
Hathon pr log jise kismat kehte, kyun dikhti nahi kahin wo rekha hai
Is palchhin hansa aur agle palchhin roya
Maine hr pal ko agle pal mein, badalte dekha hai..
Wo kehte the bs ek saya hai jo sath na chhodta,
Pr andhere mein saye ne bhi tanha tha chhoda,
Mrig-trishna si ye zindagi, jo jaisa dikhta aksar waisa nahi hota hai
Is palchhin paya aur agle palchhin khoya
Maine hr pal ko agle pal mein, badalte dekha hai.."
Shab thi ye ya Subah thi, Asmanjas mein meri nigah thi
Khuda hans raha tha aur main ro raha tha,fir bhi uske liye hoton pe dua thi
wo tha yahin ya kabhi tha hi nahii, ye sawaal aaj us khuda se poocha hai
Is Palchhin jeeya aur agle palchhin maraaa
Maine hr pal ko agle pal mein, badalte dekha hai
No comments:
Post a Comment